BLOGGER TEMPLATES AND TWITTER BACKGROUNDS

Monday, September 10, 2012

Ab Tum Nahi Ho, Kahin Nahi ho !!


Mujhey yaad hai woh raste jo late jaate the Zaameen per jab hum chale karte the
Mujhey yaad hai woh paed jo apni chao falate the jab unki goad me hum soya karte the
Mujhey yaad hai woh pathar jissne hamara har raaz jaana hai, per kabi apni zuban nahi kholi
Mujhey yaad hai woh Zamandar jinki lahero ne humare aasu pee liye, jab hum roya karte the
Mujhey yaad hai woh phool jo mere khene per apni khubsoorti tume de gaye
Mujhey yaad hai woh badal jinki barish ne hamare saare bure din bhey gaye
Mujhey yaad hai woh haawa jo mera paigaam tume pauchaya karte the
Ab tum nahi ho, kahin nahi ho…….
Tho raaste, paed, phool zamander, phool, badal, hawa sab ajnaabi se lagte hai… 

Farhan Akthar